Hae un hoton ki muskaan kuch aur hai
Magar un aankhon ki daastaan kuch aur hai
Baharon ke daur sey guzar chuka hoon mai
Ab mere aage ye bayaabaan kuch aur hai
Kis ummeed sey banaya hoga tune usko
Dekh zameen par tera insaan kuch aur hai
Aashiq ko rulana duniya ka shewa hai maanaa
Tera yun hasaa kar rulana meri jaan kuch aur hai
Milen bhi nahi aur rahen bhi khush mizaj
Aise bhi mere dilchasp imtihaan kuch aur hai
Zikr khuld ka sunatha humne bhi magar
Jahan tu mile woh gulsitan kuch aur hai
kar chale hum duniya ko apne hawale
Tere bin lagta ye jahan kuch aur hai
Aa hi gaye unki baton mein aakhir Talab
Kehte na the unki zabaan kuch aur hai
Talab ...
http://www.poemhunter.com/poem/hae-un-hoton-ki-muskaan-kuch-aur-hai-ghazal/