Surprise Me!

Akhtar Jawad - Phir Aankhon se Pani Behne Lga

2014-11-03 4 Dailymotion

Phir tees si uththi seene mein phir aankhon se pani behne laga,
Dil tere liye rootha mujhse na jane keya kutch kehne laga.
Toone to kabka chora mujhe lo aaj se main bhi paraya hua,
Mana ke teri judai mein dil gumsum gumsum rehne laga.
To mome hay ya tu pathar hay Tu mujhse kitna ghafil hay,
Main tujhko kabhi pighla na saka khud aansoo ban kar behne laga.
Maine dhoondha tujhko parbat par maine dhoondha tujhko sagar mein,
Na jane chupa baitha hay kahan main pagal pagal rehne laga.
Tera milna aur na milna ab dono hi barabar dikhte hayn,
Ab koi shikayat na shikwah dil hans ke sitam ab sehne laga.
Insan hoon mere seene se jazbat ki aandhi uthti hay,
Jo sunna na tha woh sunne laga Jo kahna na tha woh kehne laga.
Jab tujhse miloon ga poochoon ga keya aise muhabbat karte hayn,
Tu mujhse khafa main tujhse khafa teri hi tarah main rehne laga.

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/phir-aankhon-se-pani-behne-lga/